Online income

                                                    Internet aaj hum sab ki jarurat ban gayi hai! kyoki bina internet ka ab koi bhi kaam karna asan nhi hai! kuch log internet par social media used karne ate hai aur kuch log apne business ke liye internet par ate hai! kya aapne kabhi aisa socha hai ki internet se bhi paise kamaya ja skta hai! iska jabab ha hai! kyoki dunia me aise bahut se log hai jo internet se hajar nhi balki laakho kamate hai! internet se koi bhi paisa kama skta hai bus iske liye aapko thoda computer ka gyan aur ek laptop aur iske sath sath thoda internet ka gyan hona cahiye! uske baad aap bhi internet se paise kamana start kar skte hai aaj mai aapko 05 aise tarike bataouga jiska upyog karke aap internet se bahut hi badiya paise kama skte hai bus aap isko dyan purwak Pade aur Samjhe.

1 Blogging

Internet se paise kamane ke mamle me blogging top par hai aap ko blogging suru karne ke liye aachi tarah se likhna ana cahiye aur thoda web design aur HTML ki jankari honi cahiye blogging me aapko ek nya blog banana hota hai phir usme apna likha hua content share karna hota hai! phir aapke blog par traffic ayega jiske karan aapko google adsense se approvel milega aur jab aapko google adsense se aaprovel mil jayega phir aap google adsense ka add apne blog par lga kar acche paise kma skte hai jitna jyada traffic aapke blog par hoga utna hi badiya aapki income hogi aap apne blog par affiliate marketing ke dwara bhi bdiya commision kama skte hai! uske liye aapko affiliate marketing company join karni hogi sub kuch mila kar blogging ek bahut hi badiya tarika hai online internet par paise kamane ka.



   2   Advertising

Jab aap apna blog bna lege to aap apne blog par advertising karke bhi paise kama skte hai lekin iske liye aapke blog ka trafffic bahut badiya hona cahiya aur aapke blog ka page rank bhi accha hona cahiye jab ye dono aapke blog par rahega to aap apne blog par advertising ka ek page bna le aur us par apne blog ka har ek condition rakh de jab koi aapke blog par apne product athwa service ka ads lagayega to phir usko aapko paise dene padege internet par aise bahut sare company hai jo apne product ka advertising blogger ke blog par karna cahte hai! magar iske liye aapko apne blog par badiya se badiya jagah par advertising ke liye jagah dena padega! is trah aap internet par
advertising ke madhyam se bhi bahut hi badiya paise kama skte hai.

 Bidvertiser ke ads lagaye, Agar Adsense Approve nahi hota to

3 Themes Banaye aur Sell kare

Maine aapko suru me hi bola tha ki online paisa kamane ke liye aapko web design aur HTML ka gyan hona jaruri hai! mere hisab se 3sra internet par paise kamane ka badiya tarika themes bankar usko bechna hai! magar aapko themes banane ke liye web design aur html ana cahiye web design paisa kamane ke liye kyo badiya hai kyoki aaj kal blogging bahut jyada bad rha hai aur daily bahut sare naye blogger aa rhe hai aur apna blog bna rhe jab koi nya blog bananta hai to woh sochta hai ki mere blog ka design sabse badiya ho isliye woh internet se apne blog ke liye themes buy karta hai isliye themes bnakar sell karna ek bahut hi badiya idea hai paise kamane ka ek baar aapne themes bna kar sell karna suru kar diya phir aap kuch hi dino me bahut sare paise ghar par bhaith kar kama skte hai.


4 Photo Selling kare

Intenet par image marketing one badiya tarika hai paise kamane ka, yadi aapko image click karne me expert hai aur aapke pass ek badiya quality ka camera ho to aap image click kar ke usko internet par sell karke bahut hi jyada income kma skte hai! image marketing isliye aaj ke date me badiya madhyam hai paise kamane ka kyoki aaj jo bhi internet par bussiness kar rha hai sab ko image ki jarurat padti hai jab kisi ko image ki jarurat padti hai to woh usko online kharid leta hai! aap apna khud ka uniqe image click kare aur usko internet par sell karne ke liye publish kar de! internet